main jab pahle-pahal is shahr-e-na-pursan mein aaya tha

By rahman-khawarNovember 13, 2020
main jab pahle-pahal is shahr-e-na-pursan mein aaya tha
sabhi apne nazar aate the lekin kaun apna tha
hasin the dur hi se sahil-o-dariya ke nazzare
magar jab dub kar dekha to sahil tha na dariya tha


use in faslon ka kuchh na kuchh ehsas to hoga
kabhi jis shakhs ke sine mein mera dil dhadakta tha
simat aaya ho jaise dard mera us ke lahje mein
na jaane aaj kis aalam mein us ne haal puchha tha


kahan tak dil mein shahr-e-arzu aabaad rakhte hum
jab apne samne hadd-e-nazar tak gham ka sahra tha
jahan-bhar ko khabar kaise hui tark-e-talluq ki
mujhe tum se talluq tha jahan se wasta kya tha


55102 viewsghazalEnglish