main jidhar jaun mera khwab nazar aata hai ab taaqub mein wo mahtab nazar aata hai gunjti rahti hain sahil ki sadaen mujh mein aur samundar mujhe betab nazar aata hai itna mushkil bhi nahin yar ye maujon ka safar har taraf kyun tujhe girdab nazar aata hai kyun hirasan hai zara dekh to gahrai mein kuchh chamakta sa tah-e-ab nazar aata hai main to tapta hua sahra hun mujhe khwabon mein be-sabab khitta-e-shadab nazar aata hai rah chalte hue bechaari tahi-dasti ko sang bhi gauhar-e-nayab nazar aata hai ye nae daur ka bazar hai 'alam'-sahib is jagah tat bhi kam-khwab nazar aata hai