main jis mein kho gaya hun mera KHwab hi to hai
By obaidullah-aleemNovember 12, 2020
main jis mein kho gaya hun mera khwab hi to hai
yak do nafas numud sahi zindagi to hai
jalti hai kitni der hawaon mein mere sath
ek shama phir mere liye raushan hui to hai
jis mein bhi dhal gai use mahtab kar gai
mere lahu mein aisi bhi ek raushni to hai
parchhaiyon mein dubta dekhun bhi mahr-e-umr
aur phir bacha na paun ye bechaargi to hai
tu bu-e-gul hai aur pareshan hua hun main
donon mein ek rishta-e-awargi to hai
ai khwab khwab umr-e-gurezan ki saato
tum sun sako to baat meri guftani to hai

28622 viewsghazal • English