main jis se kabhi nahin mila hun ek umr se us ko jaanta hun gul bhi hain mujhe aziz lekin kanton ke liye barahna-pa hun ek zakhm hun aur surat-e-gul apne hi wajud mein khila hun chahat bhi agar hai jurm koi achchha to main tum ko chahta hun zakhmon ko huruf mein badal kar tarikh-e-bahaar likh raha hun kis kis ka hadaf nahin meri zat achchha hun to aur bhi bura hun sae ko khabar nahin hai 'shair' main der se dhup mein khada hun