main jo bhi zindagi si kar raha hun

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
main jo bhi zindagi si kar raha hun
badan ki ji-huzuri kar raha hun
ye sansen milkiyat to maut ki hain
mujhe lagta hai chori kar raha hun


badan ka kya bharosa kab chala jae
tabhi to itni jaldi kar raha hun
bahut tarikh ka kuda hai har samt
main duniya ki safai kar raha hun


khuda razzaq hai sirf is yaqin par
ye karobar-e-dini kar raha hun
tumhein kyon aasmani lag rahi hain
main baaten to zamini kar raha hun


jo pakka dozakhi hai 'farhat-ehsas'
rula kar kuchh bahishti kar raha hun
13709 viewsghazalEnglish