main jo duniya ki kahani mein na khoya hota
By badiuzzaman-khawarOctober 8, 2023
main jo duniya ki kahani mein na khoya hota
mere khame ne musalsal mujhe likkha hota
masala sakht sahi aur na uljha hota
waqt ne bhi jo mere zehn se socha hota
us ne pyara sa koi khat mujhe likkha hota
kash kuchh din ke liye mujh se wo bichhda hota
nind aankhon se na ud jati to achchha hota
kam se kam khwab mein us shokh ko dekha hota
teri yaadon ne kisi raat ye mohlat hi na di
ki main do-chaar ghadi ko bhi akela hota
itna nazuk tha ki chhu lete agar hum us ko
wo bhi shishe ki tarah farsh pe bikhra hota
katte 'umr tere aane ki ummid mein hum
tere raste mein agar waqt bhi thahra hota
kya bura hai jo giraya hai hawaon ne use
zard patta tha kisi roz to tuta hota
kitni be-sud thi ye chup ki meri baaton ko
sun bhi leta to koi shakhs na samjha hota
koi sikka to nahin the ki na milte 'khawar'
kho gae the to kisi ne hamein dhunda hota

36651 viewsghazal • English