main kaise laut ke jaunga apne ghar yaro ke mere qadmon se lipti hai rahguzar yaro na ras aaega mujh ko koi shajar yaro abhi tawil bahut hai mera safar yaro abhi to shanon pe qaem hai mera sar yaro junun nahin hai abhi mera mo'atabar yaro sitam to dekhiye parwaz ki dua de kar kutar raha hai koi mere baal-o-par yaro wo ek lamha ki jo hasil-e-hayat bane talash karta hai insan umr-bhar yaro main aasman hun bulandi maqam hai mera jhukae phirta hun phir bhi main apna sar yaro tamam-umr ka hasil hansi ghadi-bhar ki kahan se lae koi phul ka jigar yaro