main kar-amad hun ya be-kar hun main magar ai yar tera yar hun main jo dekha hai kisi ko mat batana ilaqe bhar mein izzat-dar hun main khud apni zat ke sarmae mein bhi sifar fisad ka hisse-dar hun main aur ab kyun bain karte aa gae hon kaha tha na bahut bimar hun main meri to sari duniya bas tumhi ho ghalat kya hai jo duniya-dar hun main kahani mein jo hota hi nahin hai kahani ka wahi kirdar hun main ye tai karta hai dastak dene wala kahan dar hun kahan diwar hun main koi samjhae mere dushmanon ko zara si dosti ki mar hun main mujhe patthar samajh kar pesh mat aa zara sa rahm kar jaan-dar hun main bas itna soch kar kije koi hukm bada munh-zor khidmat-gar hun main koi shak hai to be-shak aazma le tera hone ka dawe-dar hun main agar har haal mein khush rahna fan hai to phir sab se bada fankar hun main zamana to mujhe kahta hai 'faris' magar 'faris' ka parda-dar hun main unhen khilna sikhata hun main 'faris' gulabon ka suhulat-kar hun main