main KHak chhanta hun aaftab dekhta hun

By arshad-mahmood-nashadOctober 27, 2020
main khak chhanta hun aaftab dekhta hun
harim-e-dasht mein khushbu ke khwab dekhta hun
hisar-e-ghair mein rahta hai ye makan-e-wajud
main khalwaton mein bhi akasr azab dekhta hun


ye kya ki ahd-e-bahaaran mein har shajar be-barg
ye kya ki fasl-e-khizan mein gulab dekhta hun
mere khayal mein khilne lage hain zakhm-e-firaq
tumhaare lutf-o-karam ka hisab dekhta hun


waraq waraq pe tere khal-o-khad hain aks-fagan
hujum-e-yas mein dil ki kitab dekhta hun
ye be-sabab to nahin gard-e-rahguzar 'nashad'
talash-e-ab-e-rawan mein sarab dekhta hun


64884 viewsghazalEnglish