main KHak mein mile hue gulab dekhta raha

By afzaal-firdausOctober 23, 2020
main khak mein mile hue gulab dekhta raha
aur aane wale mausamon ke khwab dekhta raha
kisi ne mujh se kah diya tha zindagi pe ghaur kar
main shakh par khila hua gulab dekhta raha


khada tha main samundaron ko ok mein liye hue
magar ye shakhs ajib tha sarab dekhta raha
wo us ka mujh ko dekhna bhi ek tilism tha magar
main aur ek jahan pas-e-naqab dekhta raha


wo gahri nind soi thi main nind se lada hua
so raat bhar sahab o mahtab dekhta raha
siyah raat mein rafiq dushmanon se ja mile
main hauslon ki tutti tanab dekhta raha


46963 viewsghazalEnglish