main khud hi khugar-e-khalish-e-justuju na tha dushwar warna marhala-e-arzu na tha nahaq kharab-e-minnat-e-darman hua na dard mamnun-e-zakhm hun ki maqam-e-rafu na tha ya aashna-e-ramz talab hi na thi zaban lab wa hue to hausla-e-guftagu na tha na-pursish-e-wafa ki ye naubat kabhi na thi dil yun suluk-e-ahl-e-karam se lahu na tha han kab ba-nam-e-ishq hawas surkh-ru na thi han kab niyaz-e-shauq subuk ku-ba-ku na tha khush-fahmi-e-khayal ki ab zid ka kya ilaj warna jo sham pas se guzra tha tu na tha 'gauhar' ghazal se dhul to gaya kuchh ghubar-e-gham har chand ye hunar sabab-e-abru na tha