main khud ko mismar kar ke malba bana raha hun yahi bana sakta hun lihaza bana raha hun kisi ke sine mein bhar raha hun main apni sansen kisi ke katbe ko apna katba bana raha hun bahut bhali lagti hai use bhi meri udasi khushi khushi khud ko dil-girafta bana raha hun hujum ko mere qahqahon ki khabar nahin hai bana hua hun ki main tamasha bana raha hun har ek chehre pe khal-o-khad ki numaishen hain main khal-o-khad ke baghair chehra bana raha hun khuli hui hai jo koi aasan rah mujh par main us se hat ke ek aur rasta bana raha hun falak se upar bhi ek chhat hai zamin aisi falak ke us par ek zina bana raha hun meri tawajjoh bas ek nuqte pe murtakiz hai main apni quwwat ko ek zarra bana raha hun