main kisi ki raat ka tanha charagh itna sunna tha ki phir mahka charagh taq-e-jaan ki gul hui afsurdagi aas ne ummid ka rakkha charagh andarun-e-zat tak khulta hua jism ke jangal mein ek ugta charagh do sitare jad ke yakja ho gae aakhir-e-shab dub kar ubhra charagh khwab mein donon ne dekhi raushni nind mein mil bant kar dhunda charagh tirgi ke daere mein rakh gaya ek saya aa ke phir jalta charagh sahilon ki nazar kar aai hawa minnaton ka ek man-chaha charagh lo koi tajsim kar paya kahan mom ban kar raat-bhar pighla charagh nim-wa aankhon se mujh ko dekh kar gul hua jata hai ek budha charagh