main kya bataun ki maqsud-e-justuju kya hai

By sirajuddin-sirajJuly 3, 2021
main kya bataun ki maqsud-e-justuju kya hai
meri nigah ko sadiyon se aarzu kya hai
ye raaz mujh ko bataya teri nigahon ne
jo khamushi hai takallum to guftugu kya hai


jo koi puchhe to main khud bata nahin sakta
mere shuur mein mafhum-e-rang-o-bu kya hai
kise khabar hai ki kab us ne bolna sikha
koi batae ki tarikh-e-guftugu kya hai


jab is mein ahl-e-junun hi nahin hue shamil
to phir ye shahr mein taqrib-e-ha-o-hu kya hai
ye abraha ke pujari ye ahraman ke suput
inhen khabar hi nahin hai ki sulh-ju kya hai


wufur-e-dard se aankhen chhalakti rahti hain
main mast-e-gham hun mujhe hajat-e-subu kya hai
ukhad gae hain bahar-gam panw tufan ke
khuda ho sath to phir sazish-e-adu kya hai


'siraj' bhul gae tum bhi is haqiqat ko
dayar-e-nang mein tashkil-e-abru kya hai
25451 viewsghazalEnglish