main labaada odh kar jaane laga pattharon ki chot phir khane laga main chala tha ped ne roka mujhe jab barasti dhup mein jaane laga dasht sara so raha tha uth gaya ud ke tair jab kahin jaane laga ped ki shakhen wahin rone lagin abr ka saya jahan chhane laga pattharon ne git gaya jin dinon un dinon se aasman rone laga