main lafzon ke asar ka moajiza hun

main lafzon ke asar ka moajiza hun
mujhe dekho mujassam ek dua hun

main chhoton mein bahut chhota hun lekin
badon ke darmiyan sab se bada hun

talash-e-rizq mein nikla tha ghar se
ab apne aap ko main dhundhta hun

ata kar hausle ko istaqamat
mere mabud tanha rah gaya hun

mere alfaz hain aawaz 'mohsin'
main naghma hun agarche be-sada hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close