main lakh kah dun ki aakash hun zamin hun main magar use to khabar hai ki kuchh nahin hun main ajib log hain meri talash mein mujh ko wahan pe dhund rahe hain jahan nahin hun main main aainon se to mayus laut aaya tha magar kisi ne bataya bahut hasin hun main wo zarre zarre mein maujud hai magar main bhi kahin kahin hun kahan hun kahin nahin hun main wo ek kitab jo mansub tere nam se hai usi kitab ke andar kahin kahin hun main sitaro aao meri rah mein bikhar jao ye mera hukm hai haalanki kuchh nahin hun main yahin husain bhi guzre yahin yazid bhi tha hazar rang mein dubi hui zamin hun main ye budhi qabren tumhein kuchh nahin bataengi mujhe talash karo dosto yahin hun main