main na kahta tha mere yar badal jata hai
By aadil-rahiSeptember 7, 2024
main na kahta tha mere yar badal jata hai
waqt kitna bhi ho dushwar badal jata hai
main ne bas dil ki suni warna tere bare mein
log kahte the khabar-dar badal jata hai
hakim-e-waqt yun maghrur na ban hosh mein aa
pir aata hai to itwar badal jata hai
tujh pe kaise ho yaqin mujh ko ki ab tu yaksar
apna kahta to hai har bar badal jata hai
ye nazakat ye dikhawa ye takabbur achchha
ya'ni daulat se bhi me'yar badal jata hai
dekhne walo haqarat se na dekho mujh ko
bhuk se jism ka aakar badal jata hai
kya bataun ki mohabbat ke safar mein 'rahi'
gham to rah jata hai gham-khwar badal jata hai

93602 viewsghazal • English