main nahin baiTh ke ashkon ko bahane wala

By
main nahin baith ke ashkon ko bahane wala
main hun tadbir se taqdir banane wala

aise anjam se hum sab ko sabaq lena hai
jal gaya aag mein khud aag lagane wala

zakhm kha kar bhi parinda na ruka udta raha
hath malta hi raha tir chalane wala

us ke ehsan se allah bachae mujh ko
kitna kam-zarf hai ehsan batane wala

tutna lafz hi mujh par hai qayamat jaisa
main hun mitti ke khilaunon ko banane wala

kaise jita hai zara soch ke dekho to 'adib'
apne ehsas ko sine mein dabane wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close