main nam-lewa hun tera tu mo'atabar kar de hayat khub nahin hai tu mukhtasar kar de hisar-e-zat ke zindan-e-be-aman ki khair ghubar-e-rah ki surat hi muntashar kar de darogh-e-maslahat-amez ke kharabe mein ana-pasand mizajon ko dar-ba-dar kar de gae dinon ko talashen ki agli rut mein khulen tu mausamon ko hawaon se ba-khabar kar de libas-e-faqr mein itni tawangari to rahe dil-e-gharib ko wusat mein bahr-o-bar kar de main ek umr se jaga kiya hun jis ke liye dua-e-nim-shabi mein zara asar kar de 'waqar' shakhs ki shair na us ki fikr na fan tamam aib hain chahe to sab hunar kar de