main pareshan hun nae ghar se

By ikram-arfiJanuary 3, 2024
main pareshan hun nae ghar se
sare darwaze lagte hain sar se
qartaba to bana nahin sakta
dil banata hun sang-e-marmar se


jo garajte hain wo baraste nahin
jo garajte the aaj wo barse
mukhtasar ye ki khanaman-barbaad
bistaron mein qiyam ko tarse


main ne tota badal liya 'ikram'
surmai rang ke kabutar se
95511 viewsghazalEnglish