main pichhli raat kya jaane kahan tha

By qaisarul-jafriNovember 12, 2020
main pichhli raat kya jaane kahan tha
duaon ka bhi lahja be-zaban tha
hawa gum-sum thi suna aashiyan tha
parinda raat bhar jaane kahan tha


hawaon mein uda karte the hum bhi
hamare samne bhi aasman tha
meri taqdir thi aawaragardi
mera sara qabila be-makan tha


maze se so rahi thi sari basti
jahan main tha wahin shayad dhuan tha
main apni lash par aansu bahata
mujhe dukh tha magar itna kahan tha


safar kata hai kitni mushkilon se
wahan saya na tha pani jahan tha
kahan se aa gai ye khud-numai
wahin phenk aao aaina jahan tha


main qatl-e-am ka shahid hun 'qaisar'
ki basti mein mera uncha makan tha
47080 viewsghazalEnglish