main samajh raha tha ki waqt ne tera nam dil se miTa diya

By aalam-nizamiDecember 28, 2023
main samajh raha tha ki waqt ne tera nam dil se mita diya
shab-e-gham magar teri yaad ne mujhe aaj phir se rula diya
na hai tirgi se gila koi na hai raushni ki talab mujhe
meri hasraton ke charagh ko teri be-rukhi ne bujha diya


ye mere hi zarf ki baat thi na kisi se kuchh bhi kaha magar
teri furqaton ka jo dard tha mere aansuon ne bata diya
mere ham-nashin mere ham-nawa tujhe nazr kya karun main bata
mera dil bhi mera nahin raha tere 'ishq mein hi luta diya


na masarraton se sukun ki kabhi chand sansen 'ata huin
gham-e-zindagi tera shukriya mujhe tu ne jina sikha diya
kahun us ko achchha ya main bura nahin hota mujh se ye faisla
kabhi dosti ne wafa kiya kabhi dosti ne dagha diya


53236 viewsghazalEnglish