main sari umr ahd-e-wafa mein laga raha anjam kah raha hai khata mein laga raha sare purane zakhm nae zakhm ne bhare bekar itne din main dawa mein laga raha aisa nahin ki chand na utra ho baam par main hi tamam raat haya mein laga raha ai aql aur hoga koi us ki shakl ka dil kaise man le wo jafa mein laga raha ghar kar liya udas fazaon ne dil mein main bahar ki khush-gawar faza mein laga raha kya hai ye zindagi wo bataega kis tarah jo shakhs sari umr qaza mein laga raha suraj to ja ke chain se bistar pe so gaya shab bhar magar charagh hawa mein laga raha mujh se namaz-e-ishq mukammal nahin hui kis munh se main kahun ki khuda mein laga raha bahra na mujh ko kar de ye khamoshiyon ka shor kewal isi liye main sada mein laga raha kyun mere haq mein faisla utra nahin kabhi main bhi to us ke sath dua mein laga raha wo chahta hai kya ye mujhe thi khabar magar mein us ke sath sath dua mein laga raha