main shayad khelne khane laga hun

By khayal-laddakhiFebruary 27, 2024
main shayad khelne khane laga hun
ye lutf-e-zist jo pane laga hun
main rasm-o-rah-o-andaz-e-wafa ko
koi aaina dikhlane laga hun


haqiqat kuchh nahin duniya jahan ki
haqiqat khud ko samjhane laga hun
abhi hain marhale khushiyon ke baqi
ye kah kar dil ko bahlane laga hun


gurezan ashk barsane se aankhen
magar main khun barsane laga hun
abhi manjdhaar mein utri na nayya
abhi lahron se ghabrane laga hun


na suljha mujh se koi ek lamha
tanab-e-zist suljhane laga hun
bhala ho zindagi ke hadson ka
'ajab lutf-e-qaza pane laga hun


laga kar maut ko sine se apne
mujhe lagta hai ghar jaane laga hun
mubarak raunaqen duniya ki tum ko
khuda-hafiz ki main jaane laga hun


wo jis ne zakhm-e-dil behtar diye hain
usi ke zakhm sahlane laga hun
bura ho raushni teri ana ka
siyahi se bhi ghabrane laga hun


bada uba hua hun sarkhushi se
'khayal' ab gham ke sirhane laga hun
56535 viewsghazalEnglish