main sunta rahta hun naghme kamal ke andar kai sadaen parindon mein dal ke andar jo wahime mera andar ujad sakte hain main rakh raha hun unhen bhi sambhaal ke andar tamam masale nauiyat-e-sawal ke hain jawab hote hain sare sawal ke andar jagah jagah pe koi to hazar-ha nashtar utarta hai rag-e-ehtimal ke andar tarah tarah ke gulab aatishin salakh ke sath nikal lata hun surakh dal ke andar ye silsila zara mauquf ho to dekhunga khayal aur hain kitne khayal ke andar tadapte rahte hain dil ke nawah mein 'jawed' bahut se azhdahe jibhen nikal ke andar