main talkhi-e-hayat se ghabra ke pi gaya gham ki siyah raat se ghabra ke pi gaya itni daqiq shai koi kaise samajh sake yazdan ke waqiat se ghabra ke pi gaya chhalke hue the jam pareshan thi zulf-e-yar kuchh aise hadsat se ghabra ke pi gaya main aadmi hun koi farishta nahin huzur main aaj apni zat se ghabra ke pi gaya duniya-e-hadsat hai ek dardnak git duniya-e-hadsat se ghabra ke pi gaya kante to khair kante hain is ka gila hi kya phulon ki wardat se ghabra ke pi gaya 'saghar' wo kah rahe the ki pi lijiye huzur un ki guzarishat se ghabra ke pi gaya