main tere gham mein ab nahin nashad

By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
main tere gham mein ab nahin nashad
de meri jaan mujhe mubarakbaad
mere dushman na mujh ko bhul sake
warna rakhta hai kaun kis ko yaad


zindagi ko samajh ke zinda raho
zindagi warna kar-e-be-buniyaad
phir khudai bhi chahe kar lena
pahle sar kar le bandagi ka jihad


hain sabhi aadmi to phir ye kyon
aadmi ko hai aadmi se 'inad
'ishq aur zindagi ki mange bhik
koi aisi hi pad gai uftad


hum zamane se sulh to kar len
aur na jae jo is ki khu-e-fasad
aur kya den khiraj-e-kisht-e-umid
fasl ki fasl ho gai barbaad


kyon 'adu se karen salam-o-payam
aasman tujh se nala-o-fariyaad
hasil-e-‘umr kya hai tanhai
kya chaman kaisa khana-e-sayyaad


aan pahunche yahan bhi farzane
mai-kada phir na ho saka aabaad
40582 viewsghazalEnglish