main tere samne fariyaad karne wala nahin

By wasim-nadirJanuary 5, 2024
main tere samne fariyaad karne wala nahin
ye aasman zamin par utarne wala nahin
tumhaare shahr mein chaalak log rahte hain
mohabbaton mein yahan koi marne wala nahin


ye aaftab to har sham dub jata hai
magar ye hijr ka din to guzarne wala nahin
tujhe to khair kisi mod par bichhadna tha
tera ye faisla hairan karne wala nahin


hamari aankhen kisi khushk jhil jaisi hain
koi bhi naqsh yahan ab ubharne wala nahin
55217 viewsghazalEnglish