main tha ek sham-e-sozan raat bhar uththa dhuan mujh se suni duniya ne sau sau tarah dil ki dastan mujh se mujhe nind aa gai thi rah ki thandi hawaon mein main ek wamanda hun puchho hadis-e-karwan mujh se mere dil ki tamanna turra-e-dastar-e-gulchin ho aur us par ye qayamat dad mange baghban mujh se sarapa matam-e-nazzara hai aankhon ki mayusi ki parda uth chuka hai aur jalwe hain nihan mujh se main chup hun 'ashk' lekin bawajud-e-zabt-e-betabi wo aankhen kar rahi hain pursish-e-jurm-e-fughan mujh se