main tha ek sham-e-sozan raat bhar uttha dhuan mujh se suni duniya ne sau sau tarah dil ki dastan mujh se dubo di aabru-e-soz-e-pinhan tu ne aankhon ki shikayat kar rahe hain qatra-ha-e-raegan mujh se rafiq-e-karwan-e-nighat-e-gul hai meri wahshat na aage badh sakegi tu nigah-e-baghban mujh se mujhe nind aa gai thi rah ki thandi hawaon mein main ek wamanda hun puchho hadis-e-karwan mujh se mere dil ki tamanna turra-e-dastar-e-gulchin ho aur us par ye qayamat dad mange baghban mujh se sarapa matam-e-nazzara hai aankhon ki mayusi ki parda uth chuka hai aur jalwe hain nihan mujh se