main to baiTha tha har ek shai se kinara kar ke

By mubashshir-saeedFebruary 27, 2024
main to baitha tha har ek shai se kinara kar ke
waqt ne chhod diya mujh ko tumhaara kar ke
baat dariya bhi kabhi ruk ke kiya karta tha
ab to har mauj guzarti hai ishaara kar ke


ek diya aur jalaya hai sahar hone tak
shab-e-hijran ka tere nam sitara kar ke
jab se jagi hai tere lams ki khwahish dil mein
rahna padta hai mujhe khud se kinara kar ke


dasht chhanega teri khak-e-mohabbat se 'sa'id'
'ishq dekhega tujhe sare ka sara kar ke
55905 viewsghazalEnglish