main to is baat pe tayyar nahin ho sakta
By salim-saleemFebruary 28, 2024
main to is baat pe tayyar nahin ho sakta
tujh ko khone ka rawadar nahin ho sakta
apne ghar hi mein dikhana hai tamasha-e-junun
khel ab ye sar-e-bazar nahin ho sakta
kuchh to sochen ki na jaane ka bahana mil jae
wo bulaega to inkar nahin ho sakta
is kinare se faqat dekhta rahta hun use
jaanta hun ki main us par nahin ho sakta

93978 viewsghazal • English