main to samjha tha ki hai us se shanasai bahut

By ustad-vajahat-husain-khanJanuary 5, 2024
main to samjha tha ki hai us se shanasai bahut
us se mil kar hui lekin meri ruswai bahut
sab se ahmaq hai wo nadan bhi diwana bhi
jis ko lagta hai ki rakhta hai wo danai bahut


han bure waqt mein dete hain wo dhoka ek din
hum dil-o-jaan se karen jin ki pazirai bahut
ek qadam bhi na hata apni rawish se main kabhi
aur sab karte rahe baadiya-paimai bahut


qaul aur fe'l mein dekha hai tazad un ke bhi
jin ki duniya mein hai mashhur masihai bahut
ab to aa ja ki tere bin hua jina mushkil
dil ko bechain kiya karti hai tanhai bahut


'izzat-e-nafs badhane mein laga tha 'daem'
tujh se milne pe mili hai mujhe ruswai bahut
83533 viewsghazalEnglish