main to samjha tha mera kirdar hi mara gaya
By waqas-yusufNovember 24, 2020
main to samjha tha mera kirdar hi mara gaya
is kahani mein kahani-kar hi mara gaya
dushmani karne ka phir kya faeda hai tu bata
main tere hathon agar be-kar hi mara gaya
main khayal-e-yar ki sochon ko sochun kis tarah
main khayal-e-yar mein sau bar hi mara gaya
phir mohabbat ho gai hum ko tumhaari yaad se
phir dil-e-bismil dil-e-bimar hi mara gaya
ab to jine ki koi surat nahin aati nazar
ab to marne do ki mera yar hi mara gaya
hum pe aisa hadisa guzra mohabbat mein 'waqas'
hum rahe zinda hamara pyar hi mara gaya

84957 viewsghazal • English