main todun ahd-o-paiman-e-wafa ye ho nahin sakta wo hote hain to ho jaen juda ye ho nahin sakta pila saqi ki shaghl-e-mai-kashi ka waqt jata hai yunhi chhai rahe kali ghata ye ho nahin sakta wo chashm-e-surmagin jab tak masihai na farmae mariz-e-gham ko ho jae shifa ye ho nahin sakta na dekhe shaikh tu jab tak buton ko meri aankhon se nazar aae tujhe shan-e-khuda ye ho nahin sakta wo baz aaen jafa-o-jaur se ye ghair-mumkin hai main chhodun khu-e-taslim-o-raza ye ho nahin sakta nadamat ho mujhe apni jafa par ye to mumkin hai tera dil ho pashiman-e-jafa ye ho nahin sakta pasandida na ho 'simab' kyun tarz-e-sukhan teri na lae rang faizan-e-huma ye ho nahin sakta