main tujh pe kar nahin sakta nisar aur charagh

main tujh pe kar nahin sakta nisar aur charagh
hawa-e-lams ke jhonke na mar aur charagh

utha ke taq se ek roz phenk dega koi
mera wajud tera intizar aur charagh

safar ko yaad rahega hamara rakht-e-safar
ye surkh aable gard-o-ghubar aur charagh

to jaan lena ki phir imtihan-e-dosti hai
agar bujhaya gaya ek bar aur charagh

teri judai mein ek dusre ko takte hain
tamam raat rukh-e-ashk-bar aur charagh

wajud-e-waqt pe tazin-e-shab ke zewar hain
hamari nind hasin khwab-zar aur charagh

qadim waqton se ek dusre ke yar hain ye
kabhi bichhad nahin sakte mazar aur charagh

saman banate hain shab ka safed chehron par
siyah rang ke gahre hisar aur charagh

nawed-e-subh ke imkan mein chal base donon
shab-e-shikast ka girya-guzar aur charagh

shab-e-sukut mein ‘shiran’ mahw-e-raqs hain sab
dhuan andhera hawa-e-khumar aur charagh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close