main tujh se jo mangun to yahi mangun ki mujh ko muhtaj na karna kisi duniyawi khuda ka duniya ke masaib se agar jhukne lagun to hathon mein thama dena 'asa apni 'ata ka kamzor jo padne lage aawaz meri to duniya mein badha dena asar meri sada ka aa jae agar waqt kada pyaron pe mere fazlon mein piro dena badan un ki du'a ka namnak jo ho jaun kabhi apnon se maula aankhon se mita dena alam apne gada ka duniya ki nigahon se agar girne lagun to 'izzat ko bana dena sharaf meri qaba ka ho jaen agar hath mere khali to maula kashkol mein bhar dena bharam apni raza ka