main tujh se kya kahun ki abhi kal ki baat hai han subh ho rahi hai magar phir bhi raat hai kaise guzar rahi hai meri zist jaan lo kahte hain jis ko maut wo meri hayat hai gham hai alam hai ranj hai hasrat hai aur main tanha hai mera dil aur udhar kitni ghat hai ye haal mera ho raha hai shorish-e-junun behis dimagh-o-zehn ki murda bhi mat hai dariya-e-ranj-o-fikr mein duba hua hun main hafiz mera nasir mera haq ki zat hai 'ahqar' fareb-e-zist se ukta gaya hun main kaisa ‘ajib dam-e-hayat-o-mamat hai