main us pari ka agar muddaa nahin samjha

By ghulam-husain-sajidOctober 30, 2020
main us pari ka agar muddaa nahin samjha
samajh mein kya nahin aaya main kya nahin samjha
yahi bahut hai ki is bar bhi main dushman ko
bura samajhte hue bhi bura nahin samjha


wo manta hai mere ikhtilaf ke haq ko
use bithaya hai sar par khuda nahin samjha
charagh-o-aina hairan kyun nahin honge
ki main sabahat-e-gul ki ada nahin samjha


kisi bikharte hue khwab ke taaqub mein
nikal pada hun magar rasta nahin samjha
bahut se ranj sahe apni jaan par lekin
tere wajud ko khud se juda nahin samjha


hazar main ne har ek chiz ki wazahat ki
magar wo shakhs mera masala nahin samjha
usi ne aag lagai thi mere hathon ko
jise main bhul se barg-e-hina nahin samjha


kisi ki udti hui nind ki haqiqat ko
nagar mein koi bhi mere siwa nahin samjha
khada hua tha kahin baam-e-arsh par 'sajid'
magar zamin ko tahtus-sura nahin samjha


81015 viewsghazalEnglish