main us se bichhDa to phir kis qadar akeli thi

By badr-shamsiOctober 8, 2023
main us se bichhda to phir kis qadar akeli thi
wo chandni jo kabhi mere sath kheli thi
kabhi kabhi badi shiddat se yaad aati hai
wo nind jo meri aankhon ki ek saheli thi


qadam qadam pe the jangal mein saeban bahut
magar wo chalti hui dhup jo akeli thi
jahan se main ye kharashen saja ke laya hun
mere pados mein phulon ki ek haweli thi


badal gae the lakiron ke zawiye warna
wahi tha hath hamara wahi hatheli thi
bhula diya use manzil ke pas suraj ne
masafaton ki kadi dhup jis ne jheli thi


hamare bare mein aaina sochta hi raha
hamari shakl mein shayad koi paheli thi
hamare ganw ka naqsha badal gaya warna
jahan babul hai pahle wahan chanbeli thi


khili hui hai wo ai 'badr' ek jangal mein
mere wajud ne jo chandni undeli thi
53878 viewsghazalEnglish