main uske KHwab mein kab ja ke dekh paya hun

By fazl-tabishOctober 30, 2020
main us ke khwab mein kab ja ke dekh paya hun
hai aur koi wahan par ki main hi tanha hun
tumhein khabar hai gharondon se khelte bachcho
main tum mein apna gaya waqt dekh leta hun


tum us kinare khade ho bula rahe ho mujhe
yaqin karo ki main us or se hi aaya hun
wo apne ganw se kal hi to shahr aaya hai
wo baat baat pe hansta hai main larazta hun


wo kah rahe hain riwayat ka ehtiram karo
main apni nash ki badbu se bhaga phirta hun
rawayatan main use chand kah to dun 'tabish'
kahin wo ye na samajh le ki main banata hun


30260 viewsghazalEnglish