main wo darakht hun khata hai jo bhi phal mere zarur mujh se ye kahta hai sath chal mere ye kainat tasarruf mein thi rahe jab tak nazar buland meri faisle atal mere mujhe na dekh meri baat sun ki mujh se hain kahin kahin mutasadim bhi kuchh 'amal mere bacha hi kya hun main aawaz rah gaya hun faqat chura ke rang to sab le gai ghazal mere ye tab ki baat hai jab tum se rabta bhi na tha abhi hue na the ash'ar mubtazal mere ye khauf mujh ko udata hai waqt ke manind ki baithne se na ho jaen panw shal mere wo din the aur na jaane wo kaun se din the tere baghair guzarte nahin the pal mere kabhi milega kahin shahr-e-khwab se bahar agar nahin to khayalon se bhi nikal mere main kis tarah ka hun ye tu bata nahin sakta magar ye tai hai ki hain yar be-badal mere jala hun hijr ke sho'lon mein bar-ha ajmal magar main 'ishq hun jate nahin hain bal mere