main ye kis ke nam likkhun jo alam guzar rahe hain mere shahr jal rahe hain mere log mar rahe hain koi ghuncha ho ki gul ho koi shakh ho shajar ho wo hawa-e-gulsitan hai ki sabhi bikhar rahe hain kabhi rahmaten thin nazil isi khitta-e-zamin par wahi khitta-e-zamin hai ki 'azab utar rahe hain wahi taeron ke jhurmut jo hawa mein jhulte the wo faza ko dekhte hain to ab aah bhar rahe hain badi aarzu thi hum ko nae khwab dekhne ki so ab apni zindagi mein nae khwab bhar rahe hain koi aur to nahin hai pas-e-khanjar-azmai hamin qatl ho rahe hain hamin qatl kar rahe hain