main zamin par mere sar par aasman Tahla kiya

By mast-hafiz-rahmaniFebruary 27, 2024
main zamin par mere sar par aasman tahla kiya
sath apne le ke apna saeban tahla kiya
pas rah kar bhi rahe ek dusre se ajnabi
khauf sa ek mere un ke darmiyan tahla kiya


tak rahi hai kitni hasrat se meri jannat mujhe
mujh ko jaana tha kahan aur main kahan tahla kiya
log aasar-e-qadima ki tarah takte rahe
likh ke ek takhti pe main urdu zaban tahla kiya


ek cigarette ki tarah jab bujh gai ye zindagi
'mast' yaadon ka meri har-su dhuan tahla kiya
75461 viewsghazalEnglish