main zoaf se jun naqsh-e-qadam uth nahin sakta baitha hun sar-e-khak pe jam uth nahin sakta ai ashk-e-rawan sath le ab aah-e-jigar ko aashiq kahin be-fauj-o-alam uth nahin sakta saqf-e-falak-e-kohna mein kya khak lagaun ai zoaf-e-dil is aah ka tham uth nahin sakta sar marka-e-ishq mein aasan nahin dena gade hai jahan shama qadam uth nahin sakta hai jumbish-e-mizhgan ka kisi ke jo tasawwur dil se khalish-e-khar-e-alam uth nahin sakta dil par hai mere khema-e-har-abla asnad kya kijiye ki ye lashkar-e-gham uth nahin sakta har ja mutajalla hai wo bar parda-e-ghaflat ai moatakif-e-dair-o-haram uth nahin sakta yun ashk zamin par hain ki manzil ko pahunch kar jun qafila-e-mulk-e-adam uth nahin sakta ro ro ke likha khat jo use main ne to bola ek harf sar-e-kaghaz-e-nam uth nahin sakta har dam lab-e-fawwara se jari ye sukhan hai pani na zara jis mein ho dam uth nahin sakta main uth ke kidhar jaun thikana nahin koi mera tere kuche se qadam uth nahin sakta mehndi to sarasar nahin panw mein lagi hai tu bahr-ayaadat jo sanam uth nahin sakta bimar tera surat-e-taswir-e-nihaali bistar se tere sar ki qasam uth nahin sakta main shah-sawar aaj hun maidan-e-sukhan mein rustam ka mere aage qadam uth nahin sakta kya neza hilawega koi ab ki kisi se yan tausan-e-rahwar-e-qalam uth nahin sakta jun ghuncha 'nasir' us but-e-gul-ru ki jo hai yaad yan sar ho gareban se baham uth nahin sakta