maine jis ko bhulaya hua hai

By abdurrahman-mominJanuary 18, 2024
main ne jis ko bhulaya hua hai
wo mujhe yaad aaya hua hai
ye sitare kahan ja rahe hain
aasman satpataya hua hai


aise hairat se mat dekh dil ko
dil ne ye gham bhi khaya hua hai
mujh se puchho wo kyon muztarib hai
us ne mujh ko bataya hua hai


jo ye kahta hai sab ban gaya khud
us ne khud ko banaya hua hai
tu mujhe dhundta hi rahega
tu ne khud ko chhupaya hua hai


bik gai hai wo taswir 'momin'
jis mein tu muskuraya hua hai
58294 viewsghazalEnglish