maine kab chaha muradon ka safar aisa na ho
By balraj-hairatJanuary 2, 2024
main ne kab chaha muradon ka safar aisa na ho
bas mere ehsas ko jine se dar aisa na ho
noch dalun main sab apne baal-o-par aisa na ho
zakhm-e-dil aise na hon sauda-e-sar aisa na ho
kya kahun main ne to logon ko ye kahte bhi suna
is tarah ka ho gham-e-diwar-o-dar aisa na ho
ghaaliban hum sab ki taqdiren hain baham munsalik
lekin us surat mein kya hoga agar aisa na ho
mausamon ke sath badlun ya na badlun kya karun
baat phir aa jae mere zarf par aisa na ho
tajrabe ki raushni mein dosto kahta hun main
zindagi se bhi koi nazdik-tar aisa na ho

78160 viewsghazal • English