main ne kab dawa kiya tha sar-ba-sar baqi hun main pesh-e-khidmat hon tumhaare jis qadar baqi hun main main bahut sa jaise zaea ho chuka hun ja-ba-ja hath se mahsus karta hun kidhar baqi hun main dhundte hain ab jahan mera nishan tak bhi nahin us taraf bhi dekh lena tha jidhar baqi hun main meri tafsilat mein jaane ka mauqa ab kahan ab to aasan hai samajhna mukhtasar baqi hun main din chadhe hona na hona ek sa rah jaega ye bhi kya kam hai ki ab se raat bhar baqi hun main kharch sara ho chuka hun aur duniya mein kahin kuchh agar hun bhi to khud se be-khabar baqi hun main main kisi kaam aa bhi sakta hun agar samjhe koi aaj bhi khas-khana-e-dil mein sharar baqi hun main main agar baqi nahin hun to bhi hai kis ko gharaz aur hai parwa yahan kis ko agar baqi hun main kuchh bhi ho be-sud hai mujh se safar karna 'zafar' jo kahin jati nahin wo rah-guzar baqi hun main