main ne kaha ki tajziya-e-jism-o-jaan karo us ne kaha ye baat supurd-e-butan karo main ne kaha ki bahaar-e-abad ka koi suragh us ne kaha taaqub-e-lala-e-rukhan karo main ne kaha ki sarf-e-dil-e-raegan hai kya us ne kaha aarzu-e-raegan karo main ne kaha ki ishq mein bhi ab maza nahin us ne kaha ki az-sar-e-nau imtihan karo main ne kaha ki aur koi pand-e-khush-gawar us ne kaha ki khidmat-e-pir-e-mughan karo main ne kaha hum se zamana hai sar-garan us ne kaha ki aur ise sar-garan karo main ne kaha ki zohd sarasar fareb hai us ne kaha ye baat yahan kam bayan karo main ne kaha ki hadd-e-adab mein nahin 'zafar' us ne kaha na band kisi ki zaban karo